MAGHRIBI BAZAARIYAT KI DAIN YEH HAIJAAN HAI
HUSN-E-NISWAAN AB FAQAT TAFREEH KA SAAMAN HAI
MAKR AARAISH HAI ISKI, JHOOT ISKI SHAAN HAI
MAT BAHAK JAANA, YEH GORA MEDIA SHAITAAN HAI
KHUD TO GOYA QATL-O-GHARAT, ZULM SAY ANJAAN HAI
HAR BURAAI KAY LIYE ISLAAM PAR ILZAAM HAI
USKI HARZA-GOIYON PAR MUHR-E-ISTEHSAAN HAI
HAM NAY GAR KUCHH KEH DIYA TO HAR TARAF TOOFAN HAI
HAQ PAY JEENA HAQ PAY MAR MITNA HI USKI SHAAN HAI
SACH TO YEH DAHR MAIN MUSLIM HI BAS INSAAN HA