Thursday, 16 May 2013

ZIA ROOMANI ON MUSLIM SALEEM



(Noted short-story writer and vice-principal of Al-Ameen Dr. Mumtaz Ahmed Khan PU College, Kolar, Karnataka (India) has lauded Muslim Saleem’s service to Urdu and his poetry in following words)
      Mohtarmi Muslim Saleem ki shakhseeyat jab bhi yaad aati hai labon pey alfaz machal jathey hain: "Muslim Saleem saheb to ek anmol tehreek, musalsal jadd-o-jahad, khaerkhwah-e-qaum-o millat aur wafashuar khadim-e-Urdu zaban ka naam hai."

      Apne mehdood dayera-e-alfaz meiN maiN ney Muslim Saleem sahib ki shakhseyat ka ehata kiya hai. Dar asl meri nazer may mausoof aur bhi bahuth kuch hain. Yeh to apni janib say unkay har'ruf ki mehez tamheed hai jo 'suraj ko charagh dekhaney' kay misdaq hai.
    Yeh Allah he ki hikmat hai jo woh jis tarha aasman per taron ko saja kar ek purnoor sama'N bandh detha hai. Isie tarha zamen per muqtalif nazaray pesh keiey, her zamaney may kuch hastheyon ko paida keya jin say dunyan may raunaq saji hai.

No comments:

Post a Comment