(1)
Waqt ne jab kisi zaalim ko hukoomat di hai
Mujhko haalaat ne lehje mein baghawat di hai
Jazba-o-josh-e-sadaqatne ye hiddat di hai
Aanch alfaz men, izhar mein shiddat di hai
Pesh qadmiki tawaqqo thi bahut, dushman ko
Han ne paspaai ke harbe se hazeemat di hai
Kucch tokaam aa gaya aakhir ko mira pagal-pan
Mujh ko patthar diye lekin tajhe shuhrat di hai
Wo lutaata hai bahut uns-o-wafa logon par
Rab ne daulat dil-e-Muslim ko bakasrat di hai
· ** * * * * * * * * * * * * * * * * * * ** * * * * *
Bar mahal sheron mein alfaaz ki san’at di hai
Mujh ko parwaz-e-takhayyul ne ye hirfat di hai
Aap Urdu ke mukhalif hain magar sach yeh hai
Aap ke lehje ko Urdu na halaawat di hai
Mulk ko is ne hi tahzeeb sikhai hai nayee
Jis pe naazaan hain Sabhi aisi saqafat di hai
Dushmanon ko bhi bhagaane men madadgaar hui
Jang-e-azadi ke naron ko bhi taqat di hai
Naaz Muslim ko hai Urdu pe ke sab se pehle
Khitta-e-Hind ko is ne hi sahafat di hai.
· ** * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * ** * * * ** * * * *
Shukr kar rab ka ke deedar ki jannat di hai
“Dekhne ko teri aankhon mein basaarat di hai
Yaar uthh kar na chalaa jaye kaheen pehloo se
Is liye baat ko kucch aur tawaalat di hai
Sharm se hont sile hain ye pata hai hamko
Ham ne kab aap ko izhaar ki zahmat di hai
Jo jazar bhar ke use dekhe gaa jal jaayega
Uske chehre ne to Sooraj ko tamazat di hai
Jab habut bol chukka wo to ye Muslim se kaha
Shukr hai rab ka ke kam-goi ki aadat di hai.
(2)
Sochiye kis ne ye sailaab ki aafat di hai
In hawaadis ko khud insaan ne Dawat di hai
Hashr hoga yahi fitrat se agar kheloge
Uttarakhand meN qudrat ne naseehat di hai
Apne aamaal se too us ko jahannam na banaa
Tujh ko Allah ne kuhsaar ki jannat di hai
Daali-daali ko wahaan us ne samara-baar kiya
Sabza-o-gul ki saughaat nihayat di hai
Kuchh ziyadaa naheen itnaa hi kahe gaa Muslim
Us ko zahmat na banaa-o ke jo rahmat di hai
***************************** ****************
Us haseeN pal meN teri yaad ko Dawat di hai
Jab bhi ham ko kabhi haalaat ne muhlat di hai
Gosha-e-qalb men bas jaane ki Dawat di hai
Aaj un aankhon ne hum ko ye ijaazat di hai
Umr bhar ishq ne masroof rakha hai hum ko
Aazmane ki liye husn ko fursat di hai
Baat jab nikli hai zaalim ki sanaa-khwani ki
Hum ne chup reh ki bhi dunyaa ko naseehat di hai
Dekhta hai wo jidhar too hi nazar aata hai
Chashm-e-Muslim ko yeh ulfat ne karaamat di hai
********************** ****************
Naat-goi ki is aajiz ko sa’adat di hi
Yaani duniya hi meN tahreek-e-shafa’at di hai
Azmat Islam ko aur kufr ko la’nat di hi
Ek bande ne kuchh is tarha shahadat di hai
Sab se achhi hain ibadaat durood aur salaam
In ibadaat ne jannatki zamaanat di hai
Qabile-e-rashk hain woh log jinheN duniya meN
Aalam-e-khwab meN Aaqa ne Bashaarat di hai
Loot le aaj too rahmat ke khazaane Muslim
Aaj Allah ne taufeeq-e-nadaamat di hai

ReplyDeleteFacebook comments
Aleem Khan
subhanallah bhut khub janab
Kiran Sadiq
nice
Razia Kazmi
zabardast ghzlen hain Muslim Saheb.daad qobool karein
Nazir A Qamar
bohat khub
Chandni Pandey
behad khoobsoorat…sare ash’aar umdah..Muslim Saleem Sb…
Muslim Saleem
Shukriya Showkat Shah sb
Syed Zia Rizvi Behtreen aur lajawaab kalam hai .Har sher meN ghazab ki kixoobsoorati hai.Bohat baland aur unche xyalaat haiN.Bohat bohat bohat mubarak ho.__________Syed Zia khairabadi, Syeda Naheed, Syeda imrana Nashtar.
urdunewsblog
July 4, 2013 at 5:45 am | #2
Reply | Quote | Edit
Facebook comments 2
Faisal Nawaz
Sochiye kis ne ye sailaab ki aafat di hai
In hawaadis ko khud insaan ne Dawat di hai
Hashr hoga yahi fitrat se agar kheloge
Uttarakhand meN qudrat ne naseehat di hai
Mutala aur mutla sani ,,,mojoda halaat par aur aany waly waqt/tareekh main sir aap ki sheyrii ki misaal ban kar rehein ghein….InshaAllah…..bout umda …jitni tareef ho kam hai… capturing imagination…and real live events is poetic touch at its best……….subhaanAllah
Faisal Nawaz
Us haseeN pal meN teri yaad ko Dawat di hai
Jab bhi ham ko kabhi haalaat ne muhlat di hai
lajwaab….
Faisal Nawaz
Dekhta hai wo jidhar too hi nazar aata hai
Chashm-e-Muslim ko yeh ulfat ne karaamat di hai
lajwaab ….waaaaaaaaah…bout umda muqata.
Gul Faraz
WAH WAH BOUT PYARA KALAM
Nazakat Ali Aazim
intehaai khoobsoorti say seh ghazlah sjaaaya hai aap nain buht hi umdah khyaalay say sja klaam mashaa ALLAH
Iftikhar Falak
Umda…. Khobsorat! Muslim Bhai…. G.o…
Gul Khan
Sochiye kis ne ye sailaab ki aafat di hai
In hawaadis ko khud insaan ne Dawat di hai
Hashr hoga yahi fitrat se agar kheloge
Uttarakhand meN qudrat ne naseehat di hai
Apne aamaal se too us ko jahannam na banaa
Tujh ko Allah ne kuhsaar ki jannat di hai…wahhh ji wahhhhhhhhhhhhhhh bohat khubbbbbbbbbbbbb
Gul Khan
Umr bhar ishq ne masroof rakha hai hum ko
Aazmane ki liye husn ko fursat di hai
Baat jab nikli hai zaalim ki sanaa-khwani ki
Hum ne chup reh ki bhi dunyaa ko naseehat di hai
Dekhta hai wo jidhar too hi nazar aata hai
Chashm-e-Muslim ko yeh ulfat ne karaamat di hai,,,,,,,,,,lajawabbbbb khubsurat andaz wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
urdunewsblog
July 4, 2013 at 5:50 am | #3
Reply | Quote | Edit
Facebook comments 3
Adnan Bin Zia
waaah sir masha allah bht hi zabardast
Feroze Muzaffar
wah kya baat hy
Akhtar Jamal Usmani
masha allah
Abu Obaida Azmi
Waah bahot khoob bahot umda
Zareena Khan
aapke dil ko khuda ne wo taharat dy hai………….sang jis se bikhar jaye wo taqat di hai
Faisal Nawaz Waqt ne jab kisi zaalim ko hukoomat di hai
Mujhko haalaat ne lehje mein baghawat di hai
……………..waaaaaaaaaah lajwaab ,,mutla bout khoobsoarat…….aik aik ashaar par daad qabool karein aap ki sher kehne ki rawanii subhaanAllah Muslim Saleem saib..khaaksaar ki taraf se daad qabool karein lajwaab kalam howaa heh…slamat rehein..Ameen…
Aamir Riyaz
Bahut khoob bhai Muslim Saleem sb…
Gul Khan wahhhhhhhhhhhhhhhhhh janab bout khoobsoarat..lajwaab kalam
Gul Khan
kae bar aysa hota hai ki hum taref mei bohat kuch kahna cahty hai par kah nhi paty alfaz nhi hoty ,,mere sath bhi aysa hoota hai jab ap kye kalam ki taref mei likhna cahty hu to alfaz nhi milty
Yaqub Malik
Wah wah