Saturday, 7 September 2013

Ahmad Ali Khan’s poetic tributes on my Dhar visit

Meray karam farma janab Ahmad Ali Khan sb nay aaj meray liye kuchh ashaar share kiye hain. Mulahaza hon.AB DHAR*,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA Guzashta dino yani 3 September – 2013 ko ” Dhar City ” mein ik Mushaire ka ehtamaam bela-tafreeq Mazhab-o-Millat maqaami hazraat ne kiya tha……. Es Mauqay par Hamare mulk ke mo’atbar-o-mumtaz Shayer Janab Muslim Saleem saheb ne apni shirkat se shair-o-sukhan ki Mehfil ko jo Raunaq bakhsha…… Wusi manzar ko apne zehn mein rakhkar Main unki shaan mein b-taur-e-Aqeedat cha’nd shair kehne ki jurr’at kar raha hoon…….. !
WO THAME PARCHAM-E-URDU KAHA’N- KAHA’N PAHUNCHA,,
UTHAA BHOPAL SE, AB DHAR*,,,,,,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA,,
JO DEKHA DHOOP MEIN,,,,,,,,, PAUDA KOI JHULASTAY HUAY,,
TO BANKAY SAYA -E- SHAFQAT WO BAAGHBA’N PAHUNCHA,,
KAMAAL-E- HASTI HAI,,,,,,,,,, YA YE KASHISH KALAAM KI HAI,,
KE UNKI BAZM MEIN HER PEER -O- NAUJAWA’N PAHUNCHA,,
BALAND ITNA HUA HAI,,,,,,,,,,,,,,,,, QAD AAJ “ MUSLIM “ KAA,,
JAHAN NA PAHUNCHA THA KOI WO AB WAHA’N PAHUNCHA,,
DHAR* Madhya Pradesh ka Ek Mashhoor Shehr hai Jahaan 3 September, 2013 ko Halqa-e-Ahbaab-o-Adab se Janab Muslim Saleem saheb ko ik Yaadgaar Aizaz mila.
Ahmad_Ali_Khan_on_Dhar_mushaira gif

No comments:

Post a Comment