Sunday 15 September 2013

MUSLIM SALEEM – POETIC TRIBUTES BY OTHER POETS (UPDATED TILL SEPT 15, 2013

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
WAQT KIAAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHAAIR-E-MUMTAZHAIN MUSLIM SALEEM
JAAN-FAZAHAI UNKA MEYARI KALAAM
SAHIB-E-AIJAZHAIN MUSLIM SALEEM
http://urdunewsblog.wordpress.com/2013/05/31/waqt-ki-aawaz-hain-muslim-saleem-tribute-by-dr-barqi-azmi/

TANVEER PHOOL, NEW YORK, USA
NAGHMA-E-TAHNIYATHAI HAR LAB PAR
BHAI MUSLIMSALEEM DEEDAH-WAR

KHUSH-NAWA,KHUSH-ADA, BAHUT MUHLIS
AASMAN-E-ADAB PE MISL-E-QAMAR
DEKH LOWEBSITE URDU KI
BHAI MUSLIMKA KHOOB HAI YEH HUNAR
NOORPHAILETE HAIN ADAB KA SADA
DAAD DETEHAIN SAARE AHL-E-NAZAR
UNKI TAHREEHAI BAHUT AALA
UNKATARZ-E-SUKHAN RAHE GA AMAR
KYASHAGUFTA MIZAJ HAI UNKA
DIL HAIUNKA MOHABATTON KA NAGAR
ZAAT MENAPNI ANJUMAN HAIN YEH
DOSTON KEDILON MEI INKA GHAR
HAQPARASTI, KHULOOS AUR ULFAT
UN SEMAMOOR UNKE QALB-O-JIGAR
DIL UNKAKALAAM PARHIYE AGAR
UNKITAHREER MEIN NIHAAN HAI ASAR
UNKAPAIGHAM AZMAT-E-INSAAN
UNKE AFKAARHAIN UROOJ-E-BASHAR
BAZM-E-URDUKE HAR KHAZANE MEN
UNKITAHREER MISL-E-LAL-O-GUHAR
IS MENINSAANIYAT KA DARD BHAI HAI
SOZ-E-DILKA NIHAAN HAI IS MEN SHARAR
NAAMMASHHOOR HIND-O-PAK MEN HAI
MISL-E-MAHTABUNKI RAAHGUZAR
UN SESHADAB GULSHAN-E-ASHA’AR
PHOOL!SARSABZ HAI ADAB KA SHAJAR
http://urdunewsblog.wordpress.com/2013/01/21/great-poet-tanvir-phools-poetic-tribute-to-muslim-saleem/

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
SHAIR E KHUSH FIKR O KHUSH GUFTARHAIN MUSLIM SALEEM
AHL E DANISH KE MOIN O YAAR HAIN MUSLIM SALEEM
“AAMA AAMAD” SE AYAANHAI UN KA HUSN E FIKR O FUN
ANDALEEB E GULSHAN E GUFTAR HAIN MUSLIM
http://www.facebook.com/photo.php?fbid=150758855108892&set=a.102809366570508.3577.100005243343973&type=1&theater&notif_t=photo_comment

URDU AURMUSLIM SALEEM,  BY ZIASHAZAD SHAHZAD (Karchi)
QUDRATHAMESHA URDU PAY JO MEHRBAAN RAHI
PHOOLIPHALI, DILON PAY SADAA HUKMRAAN RAHI
MUSLIMSALEEM JAISON KA SAARA HAI YEH KAMAAL
ZINDA HAREK DAUR MAIN URDU ZABAN RAHI
MUSLIM KAAUDHNA BHI BICHHAUNA BHI URDU HAI
MAHBOOBAUKI URDU RAHI, JAAN-E-JAAN RAHI
KYA KYA NADAUR GUZRE HAIN URDU ZABAAN PARLEKIN YEHSANBHLI GARCHE BAHUT NATAWAAN RAHI
RAKH DENKOI BHI NAAM MAGAR URDU, URDU HAI
BANDISH KAYBA-WUJOOD YE WIRD-E-ZABAAN RAHI
GHALIB HAIISHQ-E-URDU, HAI IQBAL BHI BALAND
MUSLIM KAYDAM SAY URDU JAWAAN, AASMAN RAHI
SHAHZADKAASH MAIN BHI MAHAK JAAOON MISL-E-GUL
URDU MERIZABAAN, MERA GULSITAAN RAHI

AHMAD ALI KHAN(RIYAD, S.A.)
LM -O- FUN KI MANZILO’N KE,,,, RAAH-BAR MUSLIMSALEEM,,,,
SAA’YBAAN -E- URDU KE HAIN BAAM-O-DAR MUSLIM SALEEM,,,,

MAHFIL -E- YARAA’N HO,,,,, YA HO PHIR KOIBAZM-E-SUKHAN,,,,
HOTAY HAIN JALWA-FIGAN,, MISL-E-QAMAR MUSLIM SALEEM,,,,

WUSA'T-E ILM-O-ADAB KA MO’TARIF SAARA JAHA’N,,,,
SEHN-E-URDU KE HAIN NAKHL-AAWAR SHAJAR MUSLIMSALEEM,,,,

ANGINAT AUSAAF HAIN,,,,,,, “AHMED” RAQAM KYA-KYAKARAY,,,,
KUSH-BAYAN-O-KUSH-ADAA -O- KHUSH-NAZAR MUSLIMSALEEM,,,,

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
AMAD-AMADHAI YEH ASRI AGAHI KA SE HAM-KINAAR
EK SAHAFIKE QALAM KA HAI JO ADABI SHAHKAR
NAAM HAIMUSLIM SALEEM AUR SHAKHSIYAT TAREEKH-SAAZ
KAANAME JISKE HAIN WEBSITON SE ASHKAAR
DEKH KARWEBSITEN KHUD RAI QAIM KEEJIYE
ILM KAMAHAUL HAI JIN KI WAJAH SE KHUSGAWAR
URDU SHUARAAUR ADEEBON PAR HAI JO DIRECTORY
AHL-E-DAANISHKI LIYE HAI BAAIS-E-SAD IFTIKHAR
KHIDMAT-E-URDUHAI UNKA EK FITRI MASHGHALA
HAISITAM-DEEDAH DILON KI SHAIRI UNKI PUKAAR
MAZHAR-E-SOZ-E-DUROONHAI UN KA MEYARI KALAAM
HAIJAHAN-E-FIKR-O-FUN MEN JIS KO HAASIL AITBAAR
HAIN YEHRUSHHAAT-E-QLAM ASRI ADAB KA AAINA
SOZ-O-SAAZ-E-ZINDAGI BARQI HAI JIS SE ASHKAAR
http://muslimsaleem.files.wordpress.com/2011/05/muslim-saleem-ekmanzoomtaarufnew.jpg

ZIA SHAHZAD SHAHZAD (KARCHI0 NAZR-E-MUSLIM SALEEM
MUSLIM SALEEM AAP KO KARTA HOON MAIN SALAAM
URDU KO AAP NAY KIYA MAQBOOL-E-KHAS-O-AAM
PARCHAM ZABAAN-E-URDU KA THAAME TO PAHUNCHAY DHAAR
HAR LAB PAY NAAM-E-URDU RAHA SUBH AUR SHAAM
ALLAH! AISAY LOGON KO UMR-E-KHIZAR ATAA
WO JIN KAY DAM SAY URDU NAY PAAYA UROOJ-O-BAAM
SHAHZAD AAJ URDU JO TAABINDA, ZINDAA HAI
"MUSLIM" SAY LOGON NAY HI DILAYA HAI YEH MAQAAM

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
HAIN YEHMUSLIM SALEEM KE ASHA’AR
UN KEZAUQ-E-SALEEM KE GHAMMAZ
KHUD PARHENAUR LAGAYEN ANDAZA
ZINDAGI KAHAI IN MEN SOZ-O-GUDAZ
UNKARANG-E-SUKHAN TAGHZZUL MEIN
UN KITAB-E-RASAA KA HAI AIJAZ
UN KE FUNKA HAI QADR-DAAN BARQI
HAIN YEHASH’AR WAQT KI AAWAZ
http://muslimsaleem.files.wordpress.com/2012/07/barqi-azmi-praises-muslim-saleem.jpg

HARIS BILAL (SARGODHA-PAKISTAN)
SHAIRI KA NAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHE’R KI PARWAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
UNKE SAB MAZMOON TABEEYAT KE QAREEB
ZINDAGI KA SAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
RANG SHE’RON MEN GULOON KE BHARTE HAI
SHAIR-E-GULSAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
BAAT KARTE HAIN KHARI AUR JANDAAR
IK NIDAR AAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
LOG HARIS KEHNE PAR MAJBOOR HAIN
ASR KA AIZAAZ HAIN MUSLIM SALEEM.

MAJEED TAJ BALOCH, BALOCHISTAN, PAKISTAN
HAR DIL MAIN IHTIRAAM HAI MUSLIM SALEEM KA
BEMISL WO KALAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
HAR ZAAWIYE KSE KARTA HAI KHIDMAT ADAB KI JO
BUS AIK HI WO NAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
UNKO MILA HAI WARSAY MEN GANJ-E-SUKHANWARI
MASH-HOOR FAIZ-E-AAM HAY MUSLIM SALEEM KA
GHAZLON MAIN UNKI NUDRAT-E-FIKR-O-NAZAR BHI HAI
YE BE-NAZEER KAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
KARTA HAIN REHNUMAHI JO USTAAD KI TARAH
DIL YE MERA GHULAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
KARDO RAQAM YEH NAAM SUNHERI HUROOF SE
UNCHAA BAHUT MAQAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
AI TAAJ ! BADSHAH HAIN SHAHR-E-SUKHAN KAY WO
AB HAR ZABAAN  PAYNAAM  HAY MUSLIM SALEEM KA

FAISAL NAWAZ, LONDON, ENGLAND
Nazrana-e-aqeedatbarai Janab Muslim Saleem sb az Faisal Nawaz

JISTARAH DARD KO HONTOON SE SADAA MILTI HAI
UNKAY SHERON MAIN SITAROON KO ZIYA MILTI HAI...
NUDRAT-E-FIKRSAY MAMLOO* KALAM-E-MUSLIM
AARZOO’ONKI KHANAK, DIL KI NAWA* MILTI HAI.....
LOG*LAB-BASTA HON DAHSHAT KI FAZA MEN JIS DAM
TABKHAYALAAT KO *MUSLIM KI SADAA MILTI HAI
MERIMANO, WHO *MUAALIJ HAIN DIMAAGH-O-DIL KAY
UNKEASHA’AR SAY ZAHNON KO SHIFA MILTI HAI...
RUTBAHAARON KI HO YAA DAUR-E-KHIZAAN HO FAISAL
UNKEASHA’AR SAY JEENE KI ADAA MILTI HAI

AHMAD ALI KHAN, RIYAD, S.A.
ROOH-PARWAR HER TARAF HAI SAADGI BHOPAL ME’N,,
CHEHRON PAR BHI HAI GHAZAB KI TAAZGI BHOPAL ME’N,,
LAZZAT -E- URDU KI,,,, NA KHALTI KAMI BHOPAL ME’N,,
“MISL-E-MUSLIM”* HOTA GAR HER AADMI BHOPAL ME’N,,
AGRA,,,,, DEHLI,,,,, ALLAHABAD,,,,, AUR SHEHR-E- LUCKNOW,,
CHALKE AAYI AB MUJASSAM SHAYERI BHOPAL ME’N,,
KARTAY HAIN APNAY BLOGON SAY WOH TASHHEER-E-ADAB
KHIDMAT-E-URDU KI BEHTI HAI NADEE BHOPAL ME’N,,
DHUNDAY SE BHI NAHEEN MILTA HAI "MUSLIM" KA JAWAAB
HAI ADAB KI UNKE DAM SAY RAUSHNI BHOPAL ME'N
KHUSH-NUMA-O-KHUSH ADAA YEH SHEHR HAI “AHMED” ALI
KAASH..... ! APNI BHI GUZARTI ZINDAGI BHOPAL ME’N,,

*USTAD-E-MOHTARAM MUSLIM SALEEM SAHIB

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
MUHSIN-E-URDUZABAAN MUSLIM SALEEM
KARNAME JINKE HAIN BEHAD AZEEM
UNKIWEBSITE HAI GANJ-E-SHAYEGAN
JIS SE HAIUN KA AYAAN ZAUQ-E-SALEEM
HAI YEHURDU KE LIYE EK NEK FAAL
US KI HAIDIRECTORY KAAR-E-AZEEM
HAI ADEEBONKA YEH NAADIR TAZKIRA
JO ADAB KIHAI SIRAAT-E-MUSTAQEEM
HO GAYA DIL DEKH KAR YEH BAGH-BAGH
CHALTI HOJAISI YAHAN MAUJ-E-NASEEM
FIKR-O-FUNHAI UNKA ASRI AGAHI
HAIN WOAHL-E-ILM-O-DANISH KE NADEEM
http://urdunewsblog.files.wordpress.com/2012/01/baqi-azamis-tribute-to-muslim-saleem.jpg

ZIA SHADANI,MURADBAD, INDIA
DAR HAQIKAT AHLE FAN KI JAAN HAIN MUSLIM SALEEM .
KHIDMATE URDU KA EK AILAAN HAI MUSLIM SALEEM
http://www.facebook.com/photo.php?fbid=150758855108892&set=a.102809366570508.3577.100005243343973&type=1&theater&notif_t=photo_comment
KAMIL JANETVI, CHANDAUSI, INDIA
SACH YEH HAI ‘KAMIL’ KE SHAHR-E-ILM MEN .
WAQT KI AAWAAZ HAIN MUSLIM SALEEM .

NASIR FIROZABAD, FIROZABAD, INDIA
DOSTI KA BHI ALAG ANDAZ HAIN MUSLIM SALEEM
HAIN MIRE HAMRAZ AUR DAMSAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
NADEEM AKHTAR NADEEM MANGANAVI, LONDON, ENGLAND
URDU MEINEK NAAM HAI MUSLIM SALEEM KA
JIDDATGHAZAL MEIN KAAM HAI MUSLIM SALEEM
MOHD ALEEMULLAH KHAN WAQAAR (SAHARANPUR-INDIA)
PARCHAM-E-URDU KO THAAME HAI KHADA MUSLIM SALEEM
BAA KHUA URDU ZABAAN PAR HAI FIDA MUSLIM SALEEM
KAISE NAA BHI SHUKRE KHUDA HAM BHI KAREN AB BE-SHUMAAR
FACEBOOK SAY YAAR URDU KO MILA MUSLIM SALEEM

Ismail Usmani “Nazar”, Allahabad University, Allahabad
AAJ KUCH BAAT HAI MUSLIM MAIN KE LIKHTA HAI “NAZAR”
USKE HUR SHER NE INSAAN KO TAAQAT DI HAI
(This is in response to Facebook post “Do tarhi seh-ghazle” by me on June 30, 2013

Zareena Khan, Rampur
AAPKE DIL KO KHUDA NE WO TAHARAT DY HAI…………
SANG BHI JIS SE BIKHAR JAYE WO TAQAT DI HAI
(This is in response to Facebook post “Do tarhi seh-ghazle” by me on June 30, 2013

No comments:

Post a Comment