Zia Shahzad Shahzad Karachi main muqeem kohna mashq shair aur sahafi hain. Aap nay aaj meray liye kuchh ashaar share kiye hain. Mulahaza hon.
NAZR-E-MUSLIM SALEEM
MUSLIM SALEEM AAP KO KARTA HOON MAIN SALAAM
URDU KO AAP NAY KIYA MAQBOOL-E-KHAS-O-AAM
PARCHAM ZABAAN-E-URDU KA THAAME TO PAHUNCHAY DHAAR
HAR LAB PAY NAAM-E-URDU RAHA SUBH AUR SHAAM
ALLAH! AISAY LOGON KO UMR-E-KHIZAR ATAA
WO JIN KAY DAM SAY URDU NAY PAAYA UROOJ-O-BAAM
SHAHZAD AAJ URDU JO TAABINDA, ZINDAA HAI
“MUSLIM” SAY LOGON NAY HI DILAYA HAI YEH MAQAAM
Haris Bilal Faisal Nawaz Majeed Taj Baloch Wajid Ali Aijaz Ahmad Azad Shahmeen Shah Ahmad Ali Barqi Azmi Yamina Qadri Ahmad Ali KhanMUSLIM SALEEM AAP KO KARTA HOON MAIN SALAAM
URDU KO AAP NAY KIYA MAQBOOL-E-KHAS-O-AAM
PARCHAM ZABAAN-E-URDU KA THAAME TO PAHUNCHAY DHAAR
HAR LAB PAY NAAM-E-URDU RAHA SUBH AUR SHAAM
ALLAH! AISAY LOGON KO UMR-E-KHIZAR ATAA
WO JIN KAY DAM SAY URDU NAY PAAYA UROOJ-O-BAAM
SHAHZAD AAJ URDU JO TAABINDA, ZINDAA HAI
“MUSLIM” SAY LOGON NAY HI DILAYA HAI YEH MAQAAM
-
-
Majeed Taj Baloch Wah. Bahot hi umda nazraana e aqeedat hay.
Bahot hi umda -
-
Mohd Aleemullah Khan Waqaar Bahut khoob
-
-
Majeed Taj Baloch UNKO MILA HAI WARSAY
MEN GANJ-E-
SUKHANWARI
MASH-HOOR FAIZ-E-AAM
HAY MUSLIM SALEEM KA -
Aijaz Ahmad Azad Iss mein shak nahi k Urdu Muslim Saleem jaisay shyr sai India mein Urdu zinda hai, agar sab aisa hi zor lagatay tau Hindi k sath schools and colleges mein Urdu bhi compulsory subject hota. Urdu jaisi khoobsoorat zuban ko khatam karna munasib nahi tha
-
Majeed Taj Baloch Bja farmaya aap ne Sir Aijaz Ahmad Azad ji.
Kya India ke schools aor colleges men Urdu nai padhatay ? -
Faisal Nawaz HAR LAB PAY NAAM-E-URDU RAHA SUBH AUR SHAAM
ALLAH! AISAY LOGON KO UMR-E-KHIZAR ATAA………Ameen suma Ameen ……bout umda ..Janab Zia Shahzad Shahzad saib khoobsoorat aur behtreen ashaar pesh kiye hain waaaaaaaaah..shaandaar nazarana e aqeedat. -
Noor Jahan Sayed UMDA”
-
Aijaz Ahmad Azad Muslim Saleem is an outstanding poet, I love to read his verses Allah may bless him long life and prosperity
-
Zia Shahzad Shahzad janab Aijaz Ahmed Azad Sahab ! Muslim Salim k liye mera nazrana-e aqidat pasand farmane ka shukria . Aap ne Haryana mein Urdu ki education k hawale se baat ki hai , bhaui aapka Haryana se kia taa,eluq hai ?. Haryana state k district Rewari ki aik tahsil BAWAL meri janam bhoomi hai jise aik baar dikhne ki hasrat mein zind aur tarap raha hoon . Mere ashaa,arpasand farmane ka shukria.
-
Zia Shahzad Shahzad Mohtram Muslim Salim sahab shukria! janab Ahmed Ali Khan sahab ka aap ki liye ” NAZRANA AQIDAT” parhtay huwe chand ash,aar filbadih ho gaye thai jau mein ne share kiye , ujlat mein mujhe nazar-e-saani ka moqa bhi nahi mila . Pasand farmane ka shukria.
-
Ahmad Rais Siddiqi nice thnx jb.
-
Ishrat Jahan Rizvi zaberdust khirage -tehseen Shahzad bhai I am proud of
-
Muhammad Bilal Khan ماشائاللہ جناب ۔۔سلامت رہیں
-
Ahmad Ali Khan Sir …Aapka y mani-parwar Kalaam Sinfe-Urdu ke wus Mofarrad-sawaar jaisa hai jo Maidaan-e-Jung mein kisi ki madad ka mohtaaj nahi hota…….. phir Aap to zabaan-e-Urdu ke ik Mo’ammar aur mumtaz shakhsiyat hain….. Shair pe nazar-e-sani ki zaroorat unhen padti hai jo 4 shair kya keh liye wuse Aapni shohrat -o- maqbuliyat ka paimana maan letay hain….. jabke … ” It often happens that those of whom we speak least on earth are best known in heaven ” Mohtaram Janab Muslim Saleem sb. ki shaan-o- Azmat mein jo Morassa Kalaam Aapne Nazr kia hai, wo bela shubha aaj Rashk-e-Zamana ban gaya hai Hazrat…….. DHAR City ka Mushaira hamare Ustaad-e-Mohtaram (Janab Muslim Saleem saheb) ne kya padha ke aaj Wus Shahr ki dhoom sari Duniya mein hai…… Aapne mashaAllah ese kya khoob rang diya hai Sir………. PARCHAM ZABAAN-E-URDU KA THAME JO PAHUNCHE “DHAR”,,,,,, HER LAB PE NAAM-E-URDU RAHA, SUBH AUR SHAAM,,,,,,, bilkhusoos y shair mujhe behad Aziz hai…… Allah ! AISE LOGO’N KO UMAR-E-KHIZAR ATAA,,,,, WO JINKE DAM SE URDU NE PAYA UROOJ-O-BAAM,,,,,, aAla, Khuda Aapko daraazi-e-Umr ataa farmaye…….Ameen !
No comments:
Post a Comment